hum par karega rahmaten parwardigar bhi
ham par karegā rahmateñ parvardigār bhī
hālāt apne hoñge kabhī sāzgār bhī
tū ne bhulā dī chāhateñ qaul-o-qarār bhī
ham muntazir rahe tire sarhad ke paar bhī
hālāñki kar chukā thā vo tark-e-ta.alluqāt
par kaash muḌ ke dekhtā bas ek baar bhī
Derā jamā liyā hai ḳhizāñ ne kuchh is tarah
ab ḳhush na kar sakegī ye fasl-e-bahār bhī
apnī nigāh meñ to rahe surḳh-rū sadā
insāñ meñ honā chāhiye itnā vaqār bhī
ye apne rahnumāoñ ke va.adoñ kā hai asar
be-e'tibār ho gayā ab e'tibār bhī
ye kaisā daur aa gayā 'mīnā' ki ab yahāñ
sikkoñ ke mol biktā hai apnoñ kā pyaar bhī
hum par karega rahmaten parwardigar bhi
haalat apne honge kabhi sazgar bhi
tu ne bhula di chahaten qaul-o-qarar bhi
hum muntazir rahe tere sarhad ke par bhi
haalanki kar chuka tha wo tark-e-talluqat
par kash muD ke dekhta bas ek bar bhi
Dera jama liya hai KHizan ne kuchh is tarah
ab KHush na kar sakegi ye fasl-e-bahaar bhi
apni nigah mein to rahe surKH-ru sada
insan mein hona chahiye itna waqar bhi
ye apne rahnumaon ke wadon ka hai asar
be-e'tibar ho gaya ab e'tibar bhi
ye kaisa daur aa gaya 'mina' ki ab yahan
sikkon ke mol bikta hai apnon ka pyar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.