Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum par nigah-e-lutf kabhi hai kabhi nahin

Pandit Vidya Rattan Asi

hum par nigah-e-lutf kabhi hai kabhi nahin

Pandit Vidya Rattan Asi

MORE BYPandit Vidya Rattan Asi

    ham par nigāh-e-lutf kabhī hai kabhī nahīñ

    tum kaho ye kyā hai magar dil-lagī nahīñ

    go rahā hai aaj bhī koī tire baġhair

    lekin ye zindagī to koī zindagī nahīñ

    us balā se koī jiye koī mare

    jis ko kisī ke dard ehsās nahīñ

    dil meñ na aarzū hai koī ab na valvala

    ik shaam jal rahī hai magar raushnī nahīñ

    āḳhir ham un ke va.adoñ par īmān laa.eñ kyā

    jo ham pe mehrbān abhī haiñ abhī nahīñ

    is guftugū tarz meñ tarmīm kījiye

    kab tak maiñ ḳhāmushī se sunūñ aap nahīñ

    'āsī' zabān-e-ḳhāmushī meñ dāstān-e-shauq

    ham ne kahī hai bārhā us ne sunī nahīñ

    hum par nigah-e-lutf kabhi hai kabhi nahin

    tum hi kaho ye kya hai magar dil-lagi nahin

    go ji raha hai aaj bhi koi tere baghair

    lekin ye zindagi to koi zindagi nahin

    us ki bala se koi jiye ya koi mare

    jis ko kisi ke dard ka ehsas hi nahin

    dil mein na aarzu hai koi ab na walwala

    ek sham jal rahi hai magar raushni nahin

    aaKHir hum un ke wadon par iman laen kya

    jo hum pe mehrban abhi hain abhi nahin

    is guftugu ki tarz mein tarmim kijiye

    kab tak main KHamushi se sunun aap ki nahin

    'asi' zaban-e-KHamushi mein dastan-e-shauq

    hum ne kahi hai barha us ne suni nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now