hum pas-e-wahm-o-guman bhi dekh lete hain tujhe
ham pas-e-vahm-o-gumāñ bhī dekh lete haiñ tujhe
dekhne vaale yahāñ bhī dekh lete haiñ tujhe
dekh lete haiñ tujhe dil ke darīche khol kar
toḌ kar dīvār-e-jāñ bhī dekh lete haiñ tujhe
dekh lete haiñ tujhe ham to tah-e-girdāb bhī
aur pas-e-mauj-e-ravāñ bhī dekh lete haiñ tujhe
dekh lete haiñ tujhe ham qahqahoñ kī guuñj meñ
āñsuoñ ke darmiyāñ bhī dekh lete haiñ tujhe
dekhte haiñ jab tujhe ham to hamāre saath saath
ye zamīn-o-āsmāñ bhī dekh lete haiñ tujhe
chalte rahte haiñ jahāñ tak tū nazar aatā nahīñ
Thair jaate haiñ jahāñ bhī dekh lete haiñ tujhe
baat to ye hai ki 'ajmal' tū kahāñ hotā nahīñ
tū kahīñ bhī ho kahāñ bhī dekh lete haiñ tujhe
hum pas-e-wahm-o-guman bhi dekh lete hain tujhe
dekhne wale yahan bhi dekh lete hain tujhe
dekh lete hain tujhe dil ke dariche khol kar
toD kar diwar-e-jaan bhi dekh lete hain tujhe
dekh lete hain tujhe hum to tah-e-girdab bhi
aur pas-e-mauj-e-rawan bhi dekh lete hain tujhe
dekh lete hain tujhe hum qahqahon ki gunj mein
aansuon ke darmiyan bhi dekh lete hain tujhe
dekhte hain jab tujhe hum to hamare sath sath
ye zamin-o-asman bhi dekh lete hain tujhe
chalte rahte hain jahan tak tu nazar aata nahin
Thair jate hain jahan bhi dekh lete hain tujhe
baat to ye hai ki 'ajmal' tu kahan hota nahin
tu kahin bhi ho kahan bhi dekh lete hain tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.