hum pe agarche bhaari guzri phir bhi thi kya pyari raat
hum pe agarche bhaari guzri phir bhi thi kya pyari raat
Khurshidul islam
MORE BYKhurshidul islam
ham pe agarche bhārī guzrī phir bhī thī kyā pyārī raat
aap bhī taḌpī saath hamāre aap bhī jaagī saarī raat
jaise jaise raat Dhalī hai dard kī lazzat aur baḌhī
yādoñ kī ḳhushbū meñ basā kar ham ne ḳhuub sañvārī raat
tere ḳhayāloñ ke parde se jab ġham-e-duniyā jhāñk uThā
ruk ga.ī jaise vaqt kī gardish ho ga.ī dil par bhārī raat
aap na māneñ aap na samjheñ aap pe dil kā zor nahīñ
ham ne apnā dard kahā hai aap se saarī saarī raat
shaam se kaliyāñ dard kī mahkīñ jalte rahe ashkoñ ke charāġh
jaise sabā gulzār se guzre ham ne aise guzārī raat
hum pe agarche bhaari guzri phir bhi thi kya pyari raat
aap bhi taDpi sath hamare aap bhi jagi sari raat
jaise jaise raat Dhali hai dard ki lazzat aur baDhi
yaadon ki KHushbu mein basa kar hum ne KHub sanwari raat
tere KHayalon ke parde se jab gham-e-duniya jhank uTha
ruk gai jaise waqt ki gardish ho gai dil par bhaari raat
aap na manen aap na samjhen aap pe dil ka zor nahin
hum ne apna dard kaha hai aap se sari sari raat
sham se kaliyan dard ki mahkin jalte rahe ashkon ke charagh
jaise saba gulzar se guzre hum ne aise guzari raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.