hum pe jis taur bhi tum chaho nazar kar dekho
ham pe jis taur bhī tum chāho nazar kar dekho
haañ magar baam kī rif.at se utar kar dekho
ābla-pā.ī kī lazzat bhī ajab lazzat hai
sākino dasht meñ ik baar safar kar dekho
phuul hī phuul damakte haiñ karāñ-tā-ba-karāñ
sho.ala-zār-e-ġham-e-hastī se guzar kar dekho
ye to mālūm hai aa.egā na koī lekin
aaj kī raat bhī 'shāhīn' sahar kar dekho
hum pe jis taur bhi tum chaho nazar kar dekho
han magar baam ki rifat se utar kar dekho
aabla-pai ki lazzat bhi ajab lazzat hai
sakino dasht mein ek bar safar kar dekho
phul hi phul damakte hain karan-ta-ba-karan
shoala-zar-e-gham-e-hasti se guzar kar dekho
ye to malum hai aaega na koi lekin
aaj ki raat bhi 'shahin' sahar kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.