hum pe lazim tha pahunchna so yahan tak pahunche
ham pe lāzim thā pahuñchnā so yahāñ tak pahuñche
shauq ruktā hī nahīñ chāhe jahāñ tak pahuñche
lā-makāñ se jo chale kaun-o-makāñ tak pahuñche
be-karānī se ga.e hadd-e-gumāñ tak pahuñche
koī sahrā ko chalā koī samundar ko gayā
terī āñkhoñ ke suḳhan ahl-e-jahāñ tak pahuñche
koī apnī bhī to le jaa.e kabhī baat vahāñ
kitne paiġhām vahāñ se to yahāñ tak pahuñche
dil kā uljhāv hai dāġh-e-dil-e-ādam 'āmir'
dil ko ma.alūm nahīñ daaġh yahāñ tak pahuñche
hum pe lazim tha pahunchna so yahan tak pahunche
shauq rukta hi nahin chahe jahan tak pahunche
la-makan se jo chale kaun-o-makan tak pahunche
be-karani se gae hadd-e-guman tak pahunche
koi sahra ko chala koi samundar ko gaya
teri aankhon ke suKHan ahl-e-jahan tak pahunche
koi apni bhi to le jae kabhi baat wahan
kitne paigham wahan se to yahan tak pahunche
dil ka uljhaw hai dagh-e-dil-e-adam 'amir'
dil ko malum nahin dagh yahan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.