hum pe tazir ye rahne dije
ham pe ta.azīr ye rahne diije
aaj haq baat bhī kahne diije
log to yūñhī kahā karte haiñ
log kahte haiñ to kahne diije
sachchā ḳhurshīd ubhar aa.egā
jhuuT ke chāñd ko gahne diije
yahī manzil kā nishāñ bhī degā
ḳhuun rastoñ pe na bahne diije
kal nayā mahl uThā lījiyegā
aaj dīvār ko Dahne diije
hum pe tazir ye rahne dije
aaj haq baat bhi kahne dije
log to yunhi kaha karte hain
log kahte hain to kahne dije
sachcha KHurshid ubhar aaega
jhuT ke chand ko gahne dije
yahi manzil ka nishan bhi dega
KHun raston pe na bahne dije
kal naya mahl uTha lijiyega
aaj diwar ko Dahne dije
- Book : Aiwan (Pg. 25)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.