hum pe wo gardish-e-haalat nahin hai phir bhi
hum pe wo gardish-e-haalat nahin hai phir bhi
Syed Niyaz Ali Niyaz
MORE BYSyed Niyaz Ali Niyaz
ham pe vo gardish-e-hālāt nahīñ hai phir bhī
tum to milte ho mulāqāt nahīñ hai phir bhī
aaj bhī rakhtā hai mad.hosh vafāoñ kā ḳhayāl
hālāñki shiddat-e-jazbāt nahīñ hai phir bhī
ek muddat se sunā hai ki zamāna hai ḳhilāf
ġham kī rūdād mirī baat nahīñ hai phir bhī
shaam se maiñ bhī jalā rakhtā huuñ ḳhvāboñ ke charāġh
mere hisse meñ koī raat nahīñ hai phir bhī
vo mire saath havāoñ kī tarah rahtā hai
saath ho kar bhī mire saath nahīñ hai phir bhī
dil meñ aatā hai ki har haal meñ vāpas kar duuñ
nazr-e-ahbāb hai ḳhairāt nahīñ hai phir bhī
hum pe wo gardish-e-haalat nahin hai phir bhi
tum to milte ho mulaqat nahin hai phir bhi
aaj bhi rakhta hai madhosh wafaon ka KHayal
haalanki shiddat-e-jazbaat nahin hai phir bhi
ek muddat se suna hai ki zamana hai KHilaf
gham ki rudad meri baat nahin hai phir bhi
sham se main bhi jala rakhta hun KHwabon ke charagh
mere hisse mein koi raat nahin hai phir bhi
wo mere sath hawaon ki tarah rahta hai
sath ho kar bhi mere sath nahin hai phir bhi
dil mein aata hai ki har haal mein wapas kar dun
nazr-e-ahbab hai KHairaat nahin hai phir bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.