hum pukara kiye musalsal nind
ham pukārā kiye musalsal niiñd
ho chukī thī magar mo'attal niiñd
kis qadar bijliyāñ kaḌaktī haiñ
le uḌe aaj shab kī bādal niiñd
ek shab ḳhvāb meñ tum aa.e the
phir mayassar huī na ik pal niiñd
koī iblīs pī gayā hai ise
le uḌī hai ye ḳhālī botal niiñd
apnī apnī zarūratoñ ke sabab
sab kī rahtī hai nā-mukammal niiñd
jāgte haiñ charāġh āñkhoñ meñ
kyā huī bastiyoñ meñ 'rāval' niiñd
hum pukara kiye musalsal nind
ho chuki thi magar mo'attal nind
kis qadar bijliyan kaDakti hain
le uDe aaj shab ki baadal nind
ek shab KHwab mein tum aae the
phir mayassar hui na ek pal nind
koi iblis pi gaya hai ise
le uDi hai ye KHali botal nind
apni apni zaruraton ke sabab
sab ki rahti hai na-mukammal nind
jagte hain charagh aankhon mein
kya hui bastiyon mein 'rawal' nind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.