ham-qadam ho ke bhi kahan saya
ham-qadam ho ke bhī kahāñ saayā
dhuup se jism ko bachā paayā
jism piñjra hai ḳhūb-sūrat sā
ruuh ko der se samajh aayā
log mar kar kahāñ pe jaate haiñ
koī zinda nahīñ batā paayā
zindagī an-bujhī pahelī thī
maut ne aa ke jis ko suljhāyā
koī to baat us jahāñ meñ hai
jo gayā lauT ke nahīñ aayā
ham-qadam ho ke bhi kahan saya
dhup se jism ko bacha paya
jism pinjra hai KHub-surat sa
ruh ko der se samajh aaya
log mar kar kahan pe jate hain
koi zinda nahin bata paya
zindagi an-bujhi paheli thi
maut ne aa ke jis ko suljhaya
koi to baat us jahan mein hai
jo gaya lauT ke nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.