hum qalandar hain hamein aata hai faqa karna
ham qalandar haiñ hameñ aatā hai faaqa karnā
ham ne sīkhā hī nahīñ koī tamāsha karnā
rāz-dāñ ban ke raho kuchh to salīqe sīkho
raaz par itnā bhī mushkil nahīñ parda karnā
yuuñ hī dekhā hai ka.ī baar tirī mahfil meñ
kitnā āsāñ hai kisī shaḳhs ko rusvā karnā
yaad hai ḳhuub mujhe mere liye rab ke huzūr
maañ kā ro ro ke duā karnā vo sajda karnā
āñsuoñ ko kabhī girne na diyā palkoñ se
mujh ko aayā hī nahīñ pyaar ko rusvā karnā
ishq ye kaun sī manzil pe mujhe le aayā
aa.ina sāmne rakhnā tujhe sochā karnā
apne ajdād se sāhil ye hunar aayā hai
rāh-e-haq meñ na kabhī jaan kī parvā karnā
hum qalandar hain hamein aata hai faqa karna
hum ne sikha hi nahin koi tamasha karna
raaz-dan ban ke raho kuchh to saliqe sikho
raaz par itna bhi mushkil nahin parda karna
yun hi dekha hai kai bar teri mahfil mein
kitna aasan hai kisi shaKHs ko ruswa karna
yaad hai KHub mujhe mere liye rab ke huzur
man ka ro ro ke dua karna wo sajda karna
aansuon ko kabhi girne na diya palkon se
mujh ko aaya hi nahin pyar ko ruswa karna
ishq ye kaun si manzil pe mujhe le aaya
aaina samne rakhna tujhe socha karna
apne ajdad se sahil ye hunar aaya hai
rah-e-haq mein na kabhi jaan ki parwa karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.