hum quwwat-e-jazb-e-dil dikhaen
ham quvvat-e-jazb-e-dil dikhā.eñ
aur phir vo hamāre ghar na aa.eñ
kyā chiir ke sīna-e-dil dikhā.eñ
kuchh haal suno to ham sunā.eñ
ai baḳht kahāñ talak burā.ī
ai charḳh kahāñ talak jafā.eñ
ham sīna-sipar kiye khaḌe haiñ
vo shauq se ḳhanjar āzmā.eñ
jo kaam meñ ġhair ke huiiñ sarf
afsos vo dil-rubā adā.eñ
shāyad ki hai garm-e-nāla 'sāqib'
chaltī haiñ sharar-fishāñ havā.eñ
hum quwwat-e-jazb-e-dil dikhaen
aur phir wo hamare ghar na aaen
kya chir ke sina-e-dil dikhaen
kuchh haal suno to hum sunaen
ai baKHt kahan talak burai
ai charKH kahan talak jafaen
hum sina-sipar kiye khaDe hain
wo shauq se KHanjar aazmaen
jo kaam mein ghair ke huin sarf
afsos wo dil-ruba adaen
shayad ki hai garm-e-nala 'saqib'
chalti hain sharar-fishan hawaen
- Book : Noquush (Pg. B-395 E405)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.