hum rah-raw-e-manzil dushwar rahe hain
hum rah-raw-e-manzil dushwar rahe hain
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi
ham rāh-rav-e-manzil dushvār rahe haiñ
har tarah musībat meñ giraftār rahe haiñ
gah qaid meñ aur gaah sar-e-dār rahe haiñ
ai pyāre vatan tere parastār rahe haiñ
har chand vafāoñ pe lagā.e ga.e ilzām
ai hind magar tere vafādār rahe haiñ
ye baat alag saaqī navāze na navāze
ham mai-kada-e-ishq ke mai-ḳhvār rahe haiñ
jo nang-e-chaman kahte haiñ tārīḳh to dekheñ
ham rūh-e-chaman zīnat-e-gulzār rahe haiñ
ḳhud ahl-e-ḳhirad chhoḌ ga.e rāh-e-vafā ko
ham ahl-e-junūñ sāhib-e-kirdār rahe haiñ
da.avā-e-mohabbat hai jinheñ aaj chaman se
maazī meñ vahī desh ke ġhaddār rahe haiñ
jab jab bhī kaḌā vaqt paḌā apne vatan par
jaañ apnī fidā karne ko tayyār rahe haiñ
duniyā ko sabaq ham ne ahinsā kā paḌhāyā
dushman ke liye āhanī dīvār rahe haiñ
'bebāk' miTā saktā nahīñ ham ko zamāna
ham haq ke liye bar-sar-e-paikār rahe haiñ
hum rah-raw-e-manzil dushwar rahe hain
har tarah musibat mein giraftar rahe hain
gah qaid mein aur gah sar-e-dar rahe hain
ai pyare watan tere parastar rahe hain
har chand wafaon pe lagae gae ilzam
ai hind magar tere wafadar rahe hain
ye baat alag saqi nawaze na nawaze
hum mai-kada-e-ishq ke mai-KHwar rahe hain
jo nang-e-chaman kahte hain tariKH to dekhen
hum ruh-e-chaman zinat-e-gulzar rahe hain
KHud ahl-e-KHirad chhoD gae rah-e-wafa ko
hum ahl-e-junun sahib-e-kirdar rahe hain
dawa-e-mohabbat hai jinhen aaj chaman se
mazi mein wahi desh ke ghaddar rahe hain
jab jab bhi kaDa waqt paDa apne watan par
jaan apni fida karne ko tayyar rahe hain
duniya ko sabaq hum ne ahinsa ka paDhaya
dushman ke liye aahani diwar rahe hain
'bebak' miTa sakta nahin hum ko zamana
hum haq ke liye bar-sar-e-paikar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.