hum rah gae hamara KHalal kyun nahin raha
ham rah ga.e hamārā ḳhalal kyuuñ nahīñ rahā
mushkil kā ek hal thā vo hal kyuuñ nahīñ rahā
muḌ muḌ ke dekhtā huuñ vahīñ kā vahīñ ġhubār
maiñ chal rahā huuñ rāsta chal kyuuñ nahīñ rahā
mauzūa ko badaltā huuñ safhe ulaTtā huuñ
mazmūn kyā batā.ūñ badal kyuuñ nahīñ rahā
mere aur us ke beach shab-e-āḳhirīñ kā daaġh
ik āḳhirī charāġh hai jal kyuuñ nahīñ rahā
maiñ ne kahā ḳhudā se ḳhudā ne kahā mujhe
ghar se koī galī meñ nikal kyuuñ nahīñ rahā
hum rah gae hamara KHalal kyun nahin raha
mushkil ka ek hal tha wo hal kyun nahin raha
muD muD ke dekhta hun wahin ka wahin ghubar
main chal raha hun rasta chal kyun nahin raha
mauzua ko badalta hun safhe ulaTta hun
mazmun kya bataun badal kyun nahin raha
mere aur us ke beach shab-e-aKHirin ka dagh
ek aaKHiri charagh hai jal kyun nahin raha
main ne kaha KHuda se KHuda ne kaha mujhe
ghar se koi gali mein nikal kyun nahin raha
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 112)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.