ham rahe haiñ parī-jamāloñ meñ
umr guzrī hai husn vāloñ meñ
hazrat-e-shaiḳh ko ye kyā ma.alūm
kaun sī shai hai in piyāloñ meñ
shab kisī mai-kade meñ kāTeñge
din guzāreñge ḳhush-jamāloñ meñ
husn kuchh bhī javāb de na sakā
'ishq uljhā rahā savāloñ meñ
ab ye mahsūs ho rahā hai mujhe
bas gayā hai koī ḳhayāloñ meñ
ik hasīñ ke tufail ai 'ābid'
apnā charchā hai husn vāloñ meñ
hum rahe hain pari-jamalon mein
umr guzri hai husn walon mein
hazrat-e-shaiKH ko ye kya malum
kaun si shai hai in piyalon mein
shab kisi mai-kade mein kaTenge
din guzarenge KHush-jamalon mein
husn kuchh bhi jawab de na saka
'ishq uljha raha sawalon mein
ab ye mahsus ho raha hai mujhe
bas gaya hai koi KHayalon mein
ek hasin ke tufail ai 'abid'
apna charcha hai husn walon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.