ham-rang-o-ham-KHayal mera dil nahin raha
ham-rang-o-ham-ḳhayāl mirā dil nahīñ rahā
maiñ dil ke aur dil mire qābil nahīñ rahā
nazr-e-nigāh-e-nāz huā dil nahīñ rahā
ab ġham ye hai ki maiñ kisī qābil nahīñ rahā
dard ik zarā sā sahne ke qābil nahīñ rahā
dil nāznīñ banā hai mirā dil nahīñ rahā
Duube na the to hasrat-e-sāhil thī barqarār
Duube to phir takaffur-e-sāhil nahīñ nahīñ
thā kaun bā-vafā mujhe kis se umiid thī
hamdard ban ke dard rahā dil nahīñ rahā
huuñ zindagī-e-ġham ki ġham-e-zindagī huuñ maiñ
ab jazba-e-ḳhushī mire qābil nahīñ rahā
aa hī gayā thā ḳhāna-e-dil meñ mire koī
kambaḳht kaise vaqt mirā dil nahīñ rahā
ġham aur ḳhushī haiñ donoñ barābar mire liye
jab iḳhtiyār hī meñ mirā dil nahīñ rahā
bismil kā raqs dekh ke qātil taḌap uThā
ab imtiyāz-e-bismil-o-qātil nahīñ rahā
parvāna jal ke ḳhaak huā sham.a bujh ga.ī
ab aur koī raunaq-e-mahfil nahīñ rahā
itnā qarīb ho ke bhī tarsā karūñ tujhe
shāyad maiñ terī diid ke qābil nahīñ rahā
sāhil ko apne chhoḌ ke naav aage baḌh ga.ī
lauTe baġhair phir koī sāhil nahīñ rahā
ġham ne 'zakī' dikhā.ī hai vo rāh-e-zindagī
jiinā hamāre vāste mushkil nahīñ rahā
ham-rang-o-ham-KHayal mera dil nahin raha
main dil ke aur dil mere qabil nahin raha
nazr-e-nigah-e-naz hua dil nahin raha
ab gham ye hai ki main kisi qabil nahin raha
dard ek zara sa sahne ke qabil nahin raha
dil naznin bana hai mera dil nahin raha
Dube na the to hasrat-e-sahil thi barqarar
Dube to phir takaffur-e-sahil nahin nahin
tha kaun ba-wafa mujhe kis se umid thi
hamdard ban ke dard raha dil nahin raha
hun zindagi-e-gham ki gham-e-zindagi hun main
ab jazba-e-KHushi mere qabil nahin raha
aa hi gaya tha KHana-e-dil mein mere koi
kambaKHt kaise waqt mera dil nahin raha
gham aur KHushi hain donon barabar mere liye
jab iKHtiyar hi mein mera dil nahin raha
bismil ka raqs dekh ke qatil taDap uTha
ab imtiyaz-e-bismil-o-qatil nahin raha
parwana jal ke KHak hua shama bujh gai
ab aur koi raunaq-e-mahfil nahin raha
itna qarib ho ke bhi tarsa karun tujhe
shayad main teri did ke qabil nahin raha
sahil ko apne chhoD ke naw aage baDh gai
lauTe baghair phir koi sahil nahin raha
gham ne 'zaki' dikhai hai wo rah-e-zindagi
jina hamare waste mushkil nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.