hum rind-e-KHarabaat ko achchha na bura yaad
ham rind-e-ḳharābāt ko achchhā na burā yaad
saaqī kā kahā yaad na vaa.iz kā kahā yaad
phir chheḌ ga.ī bād-e-sabā shāḳh-e-suman ko
phir aa ga.ī un kī koī maḳhsūs adā yaad
jab pahlā qadam jāda-e-manzil pe rakhā thā
vo azm-e-safar yaad hai vo laġhzish-e-pā yaad
ai zauq-e-talab aa ke mirī rāh-barī kar
hai kis kā tajassus mujhe ye bhī na rahā yaad
ye kufr-e-mohabbat hai ki īmān-e-mohabbat
kartā huuñ tumheñ yaad to aatā hai ḳhudā yaad
hum rind-e-KHarabaat ko achchha na bura yaad
saqi ka kaha yaad na waiz ka kaha yaad
phir chheD gai baad-e-saba shaKH-e-suman ko
phir aa gai un ki koi maKHsus ada yaad
jab pahla qadam jada-e-manzil pe rakha tha
wo azm-e-safar yaad hai wo laghzish-e-pa yaad
ai zauq-e-talab aa ke meri rah-bari kar
hai kis ka tajassus mujhe ye bhi na raha yaad
ye kufr-e-mohabbat hai ki iman-e-mohabbat
karta hun tumhein yaad to aata hai KHuda yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.