hum sans bhi lene ke saza-war na Thahre
ham saañs bhī lene ke sazā-vār na Thahre
maazī ke ḳharābe kī bhī dīvār na Thahre
sau baar dhuāñ phuul ke siine se uThā hai
bādal ke qadam baaġh meñ ik baar na Thahre
yuuñ merī ummīdoñ ke mahal ho ga.e mismār
jis tarah koī ret kī dīvār na Thahre
pahuñchā na.e hālāt ke dhāre pe safīna
mumkin hai mire haath meñ patvār na Thahre
chhīne liye jaatī haiñ gulistāñ kī havā.eñ
ham barg-e-fasurda ke bhī haqdār na Thahre
ai vaqt-e-ravāñ ham haiñ tere saath abhī tak
Thahreñ jo kahīñ ham tirā me.aar na Thahre
hālāt ke chehre pe damaktī rahe surḳhī
ristā huā ḳhūn-e-dil-e-fankār na Thahre
ai jalva-e-ḳhāmosh tire shīsh-mahal par
ik saañs kī dastak bhī kahīñ baar na Thahre
maskan mirā us rāh-e-havādis meñ hai 'nāzish'
jis jāda-e-pur-haul meñ kohsār na Thahre
hum sans bhi lene ke saza-war na Thahre
mazi ke KHarabe ki bhi diwar na Thahre
sau bar dhuan phul ke sine se uTha hai
baadal ke qadam bagh mein ek bar na Thahre
yun meri ummidon ke mahal ho gae mismar
jis tarah koi ret ki diwar na Thahre
pahuncha nae haalat ke dhaare pe safina
mumkin hai mere hath mein patwar na Thahre
chhine liye jati hain gulistan ki hawaen
hum barg-e-fasurda ke bhi haqdar na Thahre
ai waqt-e-rawan hum hain tere sath abhi tak
Thahren jo kahin hum tera mear na Thahre
haalat ke chehre pe damakti rahe surKHi
rista hua KHun-e-dil-e-fankar na Thahre
ai jalwa-e-KHamosh tere shish-mahal par
ek sans ki dastak bhi kahin bar na Thahre
maskan mera us rah-e-hawadis mein hai 'nazish'
jis jada-e-pur-haul mein kohsar na Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.