ham-safar ab mere pahlu mein mera dil na raha
ham-safar ab mere pahlu mein mera dil na raha
Syed Mujeebul Hasan
MORE BYSyed Mujeebul Hasan
ham-safar ab mire pahlū meñ mirā dil na rahā
jis meñ tū garm-e-safar thā vahī mahmil na rahā
kis kī ummīd pe laḌtā phirūñ tūfānoñ se
muntazir ab mirā koī lab-e-sāhil na rahā
jis pe mar mar ke hameñ Dhang se jiinā aayā
kyā kareñ ab sar-e-maqtal vahī qātil na rahā
ab ḳhayālāt kī mahfil bhī nahīñ saj paatī
dil-e-tanhā meñ koī raunaq-e-mahfil na rahā
jāñ-ba-lab yuuñ bhī mujhe hijr ne kar Daalā hai
ai mirī maut tirā kaam bhī mushkil na rahā
aaj ke daur meñ apnoñ se shikāyat kaisī
saath apnā bhī vafā meñ hameñ hāsil na rahā
nāz-o-andāz meñ hai naḳhvat-o-pindār kī bū
shāyad ā.īna koī us ke muqābil na rahā
be-vafā kitnā vafādār rahā terā ḳhayāl
ek lamha bhī mire haal se ġhāfil na rahā
jo tire husn kā munkir thā vo mazmūn kabhī
mere afkār ke unvān meñ shāmil na rahā
dhaḌkanoñ meñ na koī kaif na halchal hai 'mujīb'
tarz-e-avval kī ravish par dil-e-bismil na rahā
ham-safar ab mere pahlu mein mera dil na raha
jis mein tu garm-e-safar tha wahi mahmil na raha
kis ki ummid pe laDta phirun tufanon se
muntazir ab mera koi lab-e-sahil na raha
jis pe mar mar ke hamein Dhang se jina aaya
kya karen ab sar-e-maqtal wahi qatil na raha
ab KHayalat ki mahfil bhi nahin saj pati
dil-e-tanha mein koi raunaq-e-mahfil na raha
jaan-ba-lab yun bhi mujhe hijr ne kar Dala hai
ai meri maut tera kaam bhi mushkil na raha
aaj ke daur mein apnon se shikayat kaisi
sath apna bhi wafa mein hamein hasil na raha
naz-o-andaz mein hai naKHwat-o-pindar ki bu
shayad aaina koi us ke muqabil na raha
be-wafa kitna wafadar raha tera KHayal
ek lamha bhi mere haal se ghafil na raha
jo tere husn ka munkir tha wo mazmun kabhi
mere afkar ke unwan mein shamil na raha
dhaDkanon mein na koi kaif na halchal hai 'mujib'
tarz-e-awwal ki rawish par dil-e-bismil na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.