Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ham-safar hai na ham-nawa koi

Panna Lal Noor

ham-safar hai na ham-nawa koi

Panna Lal Noor

MORE BYPanna Lal Noor

    ham-safar hai na ham-navā koī

    hogā ham shikasta-pā koī

    ik nazar kyā milā gayā koī

    ik qayāmat uThā gayā koī

    dekho nazreñ churā ke mat jaao

    tum ko kah de na bevafā koī

    dard dete ho do magar aisā

    jis phir ho na intihā koī

    jis rah-e-ishq par chalā huuñ maiñ

    ibtidā hai na intihā koī

    sar to ḳhud jhuk gayā hai sajde meñ

    jab tasavvur meñ aa gayā koī

    mujh ko sajdoñ se kuchh gurez nahīñ

    ho na jaa.e magar ḳhudā koī

    maiñ batā.ūñgā manziloñ patā

    mujh se pūchhe to rāsta koī

    ham-safar hai na ham-nawa koi

    hoga hum sa shikasta-pa koi

    ek nazar kya mila gaya koi

    ek qayamat uTha gaya koi

    dekho nazren chura ke mat jao

    tum ko kah de na bewafa koi

    dard dete ho do magar aisa

    jis ki phir ho na intiha koi

    jis rah-e-ishq par chala hun main

    ibtida hai na intiha koi

    sar to KHud jhuk gaya hai sajde mein

    jab tasawwur mein aa gaya koi

    mujh ko sajdon se kuchh gurez nahin

    ho na jae magar KHuda koi

    main bataunga manzilon ka pata

    mujh se puchhe to rasta koi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now