ham-safar ham-raaz hamdam koi ham-saya nahin
ham-safar ham-rāz hamdam koī ham-sāya nahīñ
tanhā thā lekin kisī tūfāñ se ghabrāyā nahīñ
bin tire lagtā hai jaise ziist tā-hadd-e-nazar
aisā sahrā hai ki jis meñ duur tak saaya nahīñ
laakh chāhā kaaT duuñ hañste hañsāte zindagī
ye hunar lekin mujhe tā-zindagī aayā nahīñ
raaz ban kar rah gayā aañsū bahāne kā sabab
us ne bhī pūchhā nahīñ maiñ ne bhī batlāyā nahīñ
justujū-e-husn meñ nā-kāmyābī hī rahī
kitnī 'umreñ kaT ga.iiñ is kā pata paayā nahīñ
haiñ sabhī hairān jaane aisā kyā hai dosto
jo gayā mahfil meñ un kī lauT kar aayā nahīñ
pyaar thā terā jo mujh ko raah dikhlātā rahā
moh-māyā ne vagarna kis ko bhaTkāyā nahīñ
zindagī us shaḳhs kī be-mā'nī-o-matlab hai dost
aaj kī duniyā meñ jis ke paas sarmāya nahīñ
yaad meñ achchhe dinoñ kī kyoñ hue 'gulshan' udaas
kaun sā vo phuul hai jo khil ke murjhāyā nahīñ
ham-safar ham-raaz hamdam koi ham-saya nahin
tanha tha lekin kisi tufan se ghabraya nahin
bin tere lagta hai jaise zist ta-hadd-e-nazar
aisa sahra hai ki jis mein dur tak saya nahin
lakh chaha kaT dun hanste hansate zindagi
ye hunar lekin mujhe ta-zindagi aaya nahin
raaz ban kar rah gaya aansu bahane ka sabab
us ne bhi puchha nahin main ne bhi batlaya nahin
justuju-e-husn mein na-kaamyabi hi rahi
kitni 'umren kaT gain is ka pata paya nahin
hain sabhi hairan jaane aisa kya hai dosto
jo gaya mahfil mein un ki lauT kar aaya nahin
pyar tha tera jo mujh ko rah dikhlata raha
moh-maya ne wagarna kis ko bhaTkaya nahin
zindagi us shaKHs ki be-ma'ni-o-matlab hai dost
aaj ki duniya mein jis ke pas sarmaya nahin
yaad mein achchhe dinon ki kyon hue 'gulshan' udas
kaun sa wo phul hai jo khil ke murjhaya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.