ham-safar raaton ke sae ho gae
ham-safar rātoñ ke saa.e ho ga.e
chāñd taare rāstoñ meñ so ga.e
qissa-e-dil meñ vafā kī baat par
us ne yuuñ dekhā ki ham chup ho ga.e
tum to koī ajnabī ho ajnabī
jo hamāre the vo tum kyā ho ga.e
manzileñ āvāz de kar thak ga.iiñ
qāfile gard-e-safar meñ kho ga.e
aaj tak āñkhoñ meñ ik tasvīr hai
go use dekhe zamāne ho ga.e
ham-safar raaton ke sae ho gae
chand tare raston mein so gae
qissa-e-dil mein wafa ki baat par
us ne yun dekha ki hum chup ho gae
tum to koi ajnabi ho ajnabi
jo hamare the wo tum kya ho gae
manzilen aawaz de kar thak gain
qafile gard-e-safar mein kho gae
aaj tak aankhon mein ek taswir hai
go use dekhe zamane ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.