ham-safar zist ka suraj ko banae rakkha
ham-safar ziist kā sūraj ko banā.e rakkhā
apne saa.e se hī qad apnā baḌhā.e rakkhā
shola-e-yād ko lipTā.e rakhā dāman se
is bahāne se tujhe apnā banā.e rakkhā
log āñkhoñ se hī andāza-e-ġham karte haiñ
ham ne āñkhoñ meñ tirā vasl sajā.e rakkhā
ik yahī to mirā hamrāz thā tanhā.ī kā
dard ko dil kī havelī meñ chhupā.e rakkhā
apnā andāz-e-safar sab se judāgāna rahā
āñkhoñ meñ shauq-e-safar dil ko sarā.e rakkhā
ham-safar zist ka suraj ko banae rakkha
apne sae se hi qad apna baDhae rakkha
shola-e-yaad ko lipTae rakha daman se
is bahane se tujhe apna banae rakkha
log aankhon se hi andaza-e-gham karte hain
hum ne aankhon mein tera wasl sajae rakkha
ek yahi to mera hamraaz tha tanhai ka
dard ko dil ki haweli mein chhupae rakkha
apna andaz-e-safar sab se judagana raha
aankhon mein shauq-e-safar dil ko sarae rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.