ham-safari ek dhoka tha malum nahin
ham-safari ek dhoka tha malum nahin
Mohammad Mohsin Sakhir Ansari
MORE BYMohammad Mohsin Sakhir Ansari
ham-safarī ik dhokā thā mā'lūm nahīñ
shāyad saath maiñ saayā thā mā'lūm nahīñ
lamha lamha yakjā karke dekheñge
kaun kahāñ kab bichhḌā thā mā'lūm nahīñ
jaane kaise us ne sahe ye zulm-o-sitam
andhā gūñgā bahrā thā mā'lūm nahīñ
dīvāne kyā pyaas bujhāte ashkoñ se
sahrā kitnā pyāsā thā mā'lūm nahīñ
'aks tumhāre yaad tumhārī saath rahī
kaise bhiiḌ meñ tanhā thā mā'lūm nahīñ
jis dar se sauġhāt kisī ne na paa.ī
haath vahāñ kyoñ phailā thā mā'lūm nahīñ
kis ne 'atā kī ḳhār-o-gul ko rā'nā.ī
kaun chaman se guzrā thā mā'lūm nahīñ
maañg ujāḌī kangan toḌe beva ne
rang-e-hinā kab chhūTā thā mā'lūm nahīñ
dair-o-haram meñ ashkoñ kī barsāt rahī
'sāḳhir' ne kyā māñgā thā mā'lūm nahīñ
ham-safari ek dhoka tha ma'lum nahin
shayad sath main saya tha ma'lum nahin
lamha lamha yakja karke dekhenge
kaun kahan kab bichhDa tha ma'lum nahin
jaane kaise us ne sahe ye zulm-o-sitam
andha gunga bahra tha ma'lum nahin
diwane kya pyas bujhate ashkon se
sahra kitna pyasa tha ma'lum nahin
'aks tumhaare yaad tumhaari sath rahi
kaise bhiD mein tanha tha ma'lum nahin
jis dar se saughat kisi ne na pai
hath wahan kyon phaila tha ma'lum nahin
kis ne 'ata ki KHar-o-gul ko ra'nai
kaun chaman se guzra tha ma'lum nahin
mang ujaDi kangan toDe bewa ne
rang-e-hina kab chhuTa tha ma'lum nahin
dair-o-haram mein ashkon ki barsat rahi
'saKHir' ne kya manga tha ma'lum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.