hum salamat hain to apna ghar bhi hai
hum salamat hain to apna ghar bhi hai
Abu Mohammad Syed Husain Saifi
MORE BYAbu Mohammad Syed Husain Saifi
ham salāmat haiñ to apnā ghar bhī hai
zar bhī hai zar-gar bhī hai zevar bhī hai
abr-e-naisāñ aa.e aur barse to phir
gul bhī hai gulshan bhī hai gauhar bhī hai
diid kī quvvat ho jab tak aañkh meñ
mahr bhī hai mah bhī hai aḳhtar bhī hai
baḳht jab tak barsar-e-iqbāl ho
taḳht bhī hai taaj bhī hai sar bhī hai
sāqi-e-mehvash agar ho mehrbāñ
mai bhī hai miinā bhī hai sāġhar bhī hai
maut kī āñkhoñ se jab tak duur haiñ
chilqad-e-āhan bhī hai miġhfar bhī hai
vaqt par qaa.em rahe himmat agar
laT bhī hai patthar bhī hai ḳhanjar bhī hai
aql jab tak pāsbāñ hai jaan kī
ḳhauf bhī hai tars bhī hai Dar bhī hai
quvvat-e-parvāz kuchh bhī hai to phir
par bhī hai baazū bhī hai shahpar bhī hai
shauq agar hai manzil-e-maqsūd kā
rah bhī hai rahrav bhī hai rahbar bhī hai
hum salamat hain to apna ghar bhi hai
zar bhi hai zar-gar bhi hai zewar bhi hai
abr-e-naisan aae aur barse to phir
gul bhi hai gulshan bhi hai gauhar bhi hai
did ki quwwat ho jab tak aankh mein
mahr bhi hai mah bhi hai aKHtar bhi hai
baKHt jab tak barsar-e-iqbaal ho
taKHt bhi hai taj bhi hai sar bhi hai
saqi-e-mehwash agar ho mehrban
mai bhi hai mina bhi hai saghar bhi hai
maut ki aankhon se jab tak dur hain
chilqad-e-ahan bhi hai mighfar bhi hai
waqt par qaem rahe himmat agar
laT bhi hai patthar bhi hai KHanjar bhi hai
aql jab tak pasban hai jaan ki
KHauf bhi hai tars bhi hai Dar bhi hai
quwwat-e-parwaz kuchh bhi hai to phir
par bhi hai bazu bhi hai shahpar bhi hai
shauq agar hai manzil-e-maqsud ka
rah bhi hai rahraw bhi hai rahbar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.