humse aankhen milaiye to kahen
ham se āñkheñ milā.iye to kaheñ
apnā jalva dikhā.iye to kaheñ
rasm hī hai agar to phir rasman
rasm-e-ulfat nibāhiye to kaheñ
kyā kaheñ aap haiñ pas-e-parda
sar-e-parda jo aa.iye to kaheñ
dil hai qurbān parda-poshī par
ruḳh se parda uThā.iye to kaheñ
dil meñ 'akbar' hai jaane kyā kyā kuchh
be-hijābāna aa.iye to kaheñ
hum se aankhen milaiye to kahen
apna jalwa dikhaiye to kahen
rasm hi hai agar to phir rasman
rasm-e-ulfat nibahiye to kahen
kya kahen aap hain pas-e-parda
sar-e-parda jo aaiye to kahen
dil hai qurban parda-poshi par
ruKH se parda uThaiye to kahen
dil mein 'akbar' hai jaane kya kya kuchh
be-hijabana aaiye to kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.