humse aashufta-mizajon ka pata puchhti hai
ham se āshufta-mizājoñ kā pata pūchhtī hai
kitne baaqī haiñ diye roz havā pūchhtī hai
roz kaliyoñ ko khilāte hue kartī hai savāl
kis ke dāman kī mahak hai ye sabā pūchhtī hai
kis jagah tujh ko Thaharnā hai tamannā-e-jahāñ
laḌkhaḌāte hue ye laġhzish-e-pā pūchhtī hai
tishnagī aur hai sahrā-e-tamannā kitnī
jo barastī nahīñ khul ke vo ghaTā pūchhtī hai
raqs karte hue zarroñ se sadā aatī hai
gard hote hue anjām mirā pūchhtī hai
gardish-e-vaqt mehrbān hai itnī mujh par
koī pūchhe nahīñ ye had se sivā pūchhtī hai
hum se aashufta-mizajon ka pata puchhti hai
kitne baqi hain diye roz hawa puchhti hai
roz kaliyon ko khilate hue karti hai sawal
kis ke daman ki mahak hai ye saba puchhti hai
kis jagah tujh ko Thaharna hai tamanna-e-jahan
laDkhaDate hue ye laghzish-e-pa puchhti hai
tishnagi aur hai sahra-e-tamanna kitni
jo barasti nahin khul ke wo ghaTa puchhti hai
raqs karte hue zarron se sada aati hai
gard hote hue anjam mera puchhti hai
gardish-e-waqt mehrban hai itni mujh par
koi puchhe nahin ye had se siwa puchhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.