Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humse aashufta-mizajon ka pata puchhti hai

Tasneem Abidi

humse aashufta-mizajon ka pata puchhti hai

Tasneem Abidi

MORE BYTasneem Abidi

    ham se āshufta-mizājoñ patā pūchhtī hai

    kitne baaqī haiñ diye roz havā pūchhtī hai

    roz kaliyoñ ko khilāte hue kartī hai savāl

    kaisī dāman mahak hai ye sabā pūchhtī hai

    kis jagah tujh ko Thaharnā hai tamannā-e-jahāñ

    laḌkhaḌāte hue ye laġhzish-e-pā pūchhtī hai

    tishnagī aur hai sahrā-e-tamannā kitnī

    jo barastī nahīñ khul ke vo ghaTā pūchhtī hai

    raqs karte hue zarroñ se maiñ suntī huuñ sadā

    gard uḌte hue anjām mirā pūchhtī hai

    mehrbāñ gardish-e-hālāt hai utnī mujh par

    koī pūchhe ki na pūchhe ye sabā pūchhtī hai

    hum se aashufta-mizajon ka pata puchhti hai

    kitne baqi hain diye roz hawa puchhti hai

    roz kaliyon ko khilate hue karti hai sawal

    kaisi daman ki mahak hai ye saba puchhti hai

    kis jagah tujh ko Thaharna hai tamanna-e-jahan

    laDkhaDate hue ye laghzish-e-pa puchhti hai

    tishnagi aur hai sahra-e-tamanna kitni

    jo barasti nahin khul ke wo ghaTa puchhti hai

    raqs karte hue zarron se main sunti hun sada

    gard uDte hue anjam mera puchhti hai

    mehrban gardish-e-haalat hai utni mujh par

    koi puchhe ki na puchhe ye saba puchhti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now