ham se apne saare dukh rotā huā
ek sahrā āb-jū hotā huā
andarūñ ik mauj sī uThtī huī
tujh ko maiñ paane hī meñ khotā huā
ek duniyā ghaat meñ baiThī huī
ek dil ārām se sotā huā
ek din maiñ aa gayā apnī taraf
kūcha-e-dildār se hotā huā
haa.e vo inkār kī banjar zamīñ
biij maiñ iqrār ke botā huā
reel biite jashn kī dhultī huī
negative se positive hotā huā
hum se apne sare dukh rota hua
ek sahra aab-ju hota hua
andarun ek mauj si uThti hui
tujh ko main pane hi mein khota hua
ek duniya ghat mein baiThi hui
ek dil aaram se sota hua
ek din main aa gaya apni taraf
kucha-e-dildar se hota hua
hae wo inkar ki banjar zamin
bij main iqrar ke bota hua
reel bite jashn ki dhulti hui
negatiwe se positiwe hota hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.