humse bichhDe to ye din kaise guzare likhna
humse bichhDe to ye din kaise guzare likhna
Syed Mateenur Rahman Mateen
MORE BYSyed Mateenur Rahman Mateen
ham se bichhḌe to ye din kaise guzāre likhnā
kabhī pardes se ḳhat naam hamāre likhnā
vo jo kuchh lamhe guzāre the mire saath jahāñ
kaise lagte haiñ vo dariyā ke kināre likhnā
chāñdnī kartī hai sargoshiyāñ ab bhī ki nahīñ
tum se kyā kahte haiñ jazbāt tumhāre likhnā
bhej denā hameñ ik phuul bajā.e ḳhat ke
kuchh zarūrī nahīñ lafzoñ ke sahāre likhnā
log har baat kā afsāna banā dete haiñ
Diary meñ na kabhī sher hamāre likhnā
hum se bichhDe to ye din kaise guzare likhna
kabhi pardes se KHat nam hamare likhna
wo jo kuchh lamhe guzare the mere sath jahan
kaise lagte hain wo dariya ke kinare likhna
chandni karti hai sargoshiyan ab bhi ki nahin
tum se kya kahte hain jazbaat tumhaare likhna
bhej dena hamein ek phul bajae KHat ke
kuchh zaruri nahin lafzon ke sahaare likhna
log har baat ka afsana bana dete hain
Diary mein na kabhi sher hamare likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.