humse jab apnon ne jhagDa kar liya
ham se jab apnoñ ne jhagḌā kar liyā
thak ke tanhā.ī se saaya kar liyā
sar paTaktī rah ga.iiñ ḳhuddāriyāñ
us ne jab hāthoñ ko kaasa kar liyā
dard kī āvāz tak aatī nahīñ
zaḳhm ham ne itnā gahrā kar liyā
muflisī kī kokh se paidā hue
is liye to hañs ke faaqa kar liyā
vaqt ke paaoñ meñ sar rakh kar 'obaid'
ham ne is duniyā se parda kar liyā
hum se jab apnon ne jhagDa kar liya
thak ke tanhai se saya kar liya
sar paTakti rah gain KHuddariyan
us ne jab hathon ko kasa kar liya
dard ki aawaz tak aati nahin
zaKHm hum ne itna gahra kar liya
muflisi ki kokh se paida hue
is liye to hans ke faqa kar liya
waqt ke paon mein sar rakh kar 'obaid'
hum ne is duniya se parda kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.