humse jaise bhi hua waqt guzara apna
ham se jaise bhī huā vaqt guzārā apnā
varna is kār-gah-e-dahr meñ kyā thā apnā
kaise pahchāne hameñ koī shanāsā apnā
baat apnī hai na āvāz na lahja apnā
'ahd-e-'ishrat kā bhalā ho ki sabhī the apne
ab akele haiñ kisī se nahīñ rishta apnā
ho ḳhud apnā bhī na apnā to kareñ kis se gila
aur ho jaa.e to ho jaa.e parāyā apnā
paañv jis samt ko uThte haiñ chale jaate haiñ
koī rahbar hai na manzil hai na rasta apnā
us ko ā.īna dikhāne kī tamanna thī hameñ
Dar ga.e dekh ke ā.īne meñ chehra apnā
shām-e-ġhurbat meñ nahīñ saaya bhī saath ai 'afzal'
haa.e har vaqt kā sāthī bhī na niklā apnā
hum se jaise bhi hua waqt guzara apna
warna is kar-gah-e-dahr mein kya tha apna
kaise pahchane hamein koi shanasa apna
baat apni hai na aawaz na lahja apna
'ahd-e-'ishrat ka bhala ho ki sabhi the apne
ab akele hain kisi se nahin rishta apna
ho KHud apna bhi na apna to karen kis se gila
aur ho jae to ho jae paraya apna
panw jis samt ko uThte hain chale jate hain
koi rahbar hai na manzil hai na rasta apna
us ko aaina dikhane ki tamanna thi hamein
Dar gae dekh ke aaine mein chehra apna
sham-e-ghurbat mein nahin saya bhi sath ai 'afzal'
hae har waqt ka sathi bhi na nikla apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.