humse kar tu ki ya na kar iKHlas
ham se kar tū ki yā na kar iḳhlās
ham ko hai tujh se yaar par iḳhlās
apne muḳhlis kī baat kā hargiz
mat burā maan hai agar iḳhlās
mere aur us ke kyūñki sohbat ho
pamba se kab rakhe sharar iḳhlās
ḳhuun ho kar bhī terī tarf bahe
tujh se rakkhe the dil jigar iḳhlās
hai ġhanīmat rahe jo koī din
ham meñ aur us meñ yak-digar iḳhlās
vo nahīñ vaqt ab ki har yak meñ
dekhte the jidhar-tidhar iḳhlās
is zamāne meñ ai 'hasan' mat pūchh
hai mohabbat kahāñ kidhar iḳhlās
hum se kar tu ki ya na kar iKHlas
hum ko hai tujh se yar par iKHlas
apne muKHlis ki baat ka hargiz
mat bura man hai agar iKHlas
mere aur us ke kyunki sohbat ho
pamba se kab rakhe sharar iKHlas
KHun ho kar bhi teri tarf bahe
tujh se rakkhe the dil jigar iKHlas
hai ghanimat rahe jo koi din
hum mein aur us mein yak-digar iKHlas
wo nahin waqt ab ki har yak mein
dekhte the jidhar-tidhar iKHlas
is zamane mein ai 'hasan' mat puchh
hai mohabbat kahan kidhar iKHlas
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.