humse kinara kyun hai tere mubtala hain hum
ham se kināra kyuuñ hai tire mubtalā haiñ ham
ai bahr-e-husn aa idhar aa āshnā haiñ ham
nāqūs mai-kade meñ bajāyā to ye kahā
bande gunāhgār tire ai ḳhudā haiñ ham
parvā nahīñ hai tum ko to hai tum pe kyuuñ mareñ
dūbhar na zindagī hai na ghar se sivā haiñ ham
ham se kisī ke ġhamza-e-bejā uTheñge kyā
nāzuk-mizāj log haiñ ham mīrzā haiñ ham
ab kyā banegī un se tabī.at bigaḌ ga.ī
ab ḳhush raheñ vo jaan se apnī ḳhafā haiñ ham
hum se kinara kyun hai tere mubtala hain hum
ai bahr-e-husn aa idhar aa aashna hain hum
naqus mai-kade mein bajaya to ye kaha
bande gunahgar tere ai KHuda hain hum
parwa nahin hai tum ko to hai tum pe kyun maren
dubhar na zindagi hai na ghar se siwa hain hum
hum se kisi ke ghamza-e-beja uThenge kya
nazuk-mizaj log hain hum mirza hain hum
ab kya banegi un se tabiat bigaD gai
ab KHush rahen wo jaan se apni KHafa hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.