humse lamhat KHushi ke bhi sanbhaale na gae
ham se lamhāt ḳhushī ke bhī sañbhāle na ga.e
dard par dard uThe aur vo Taale na ga.e
maut se kam haiñ kahāñ talḳh ye mere din raat
ġham-e-furqat ke vo riste hue chhāle na ga.e
ḳhud ko mansūb kiyā naam tumhāre ham ne
naz' ke vaqt bhī tum dil se nikāle na ga.e
ġhota-zan hote rahe bahr-e-tafakkur meñ magar
ham se asrār ke motī bhī khañgāle na ga.e
un kī yādoñ ke thapeḌoñ se nahīñ ham ko najāt
ashk ke sail kabhī ham se sañbhāle na ga.e
dard-o-ġham ranj-o-alam karb-o-ḳhalish ai 'mohsin'
barq kī tarh gire aur ye Taale na ga.e
hum se lamhat KHushi ke bhi sanbhaale na gae
dard par dard uThe aur wo Tale na gae
maut se kam hain kahan talKH ye mere din raat
gham-e-furqat ke wo riste hue chhaale na gae
KHud ko mansub kiya nam tumhaare hum ne
naz' ke waqt bhi tum dil se nikale na gae
ghota-zan hote rahe bahr-e-tafakkur mein magar
hum se asrar ke moti bhi khangale na gae
un ki yaadon ke thapeDon se nahin hum ko najat
ashk ke sail kabhi hum se sanbhaale na gae
dard-o-gham ranj-o-alam karb-o-KHalish ai 'mohsin'
barq ki tarh gire aur ye Tale na gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.