humse mat puchhiye zamane ki
ham se mat pūchhiye zamāne kī
ham ko 'ādat hai bhuul jaane kī
kuchh to ham bhī udaas rahte haiñ
aur chāhat hai choT khāne kī
jab manā lenā merī fitrat hai
un ko kyoñ zid hai ruuTh jaane kī
ham to raazī the saarī shartoñ par
kyā zarūrat thī āzmāne kī
zaḳhm-e-dil āñkhoñ meñ mirī dekho
dil kahāñ chiiz hai dikhāne kī
ik hañsī aatī hai mire lab par
baat karte ho jab bahāne kī
hum se mat puchhiye zamane ki
hum ko 'adat hai bhul jaane ki
kuchh to hum bhi udas rahte hain
aur chahat hai choT khane ki
jab mana lena meri fitrat hai
un ko kyon zid hai ruTh jaane ki
hum to raazi the sari sharton par
kya zarurat thi aazmane ki
zaKHm-e-dil aankhon mein meri dekho
dil kahan chiz hai dikhane ki
ek hansi aati hai mere lab par
baat karte ho jab bahane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.