humse mumkin na hua dasht ko dariya likkhen
humse mumkin na hua dasht ko dariya likkhen
Sulaiman Athar Javed
MORE BYSulaiman Athar Javed
ham se mumkin na huā dasht ko dariyā likkheñ
ḳhaar ko phuul kaheñ dhuup ko saaya likkheñ
un kā isrār añdhere ko ujālā likkho
zid hamārī ki añdherā hai añdherā likkheñ
aao is peḌ ke saa.e meñ zarā sustā leñ
aur phir chāhe ġhazal chāhe qasīda likkheñ
kuchh patā un ko chale ham pe guzartī kyā hai
apne ik aadh sahī ġham kā ḳhulāsa likkheñ
us ke har harf se ḳhushbū sī tumhārī mahke
yā rubā.ī yā koī sher ġhazal kā likkheñ
kyā kareñ phuul se kāġhaz pe bikhar jaate haiñ
jab bhī chāhā hai kabhī un kā sarāpā likkheñ
chāñdnī raat meñ baiTheñ lab-e-dariyā pe kahīñ
aur har mauj pe bas naam tumhārā likkheñ
us kī hastī ki hai ābād mahaktā sā jahāñ
aur ham ḳhud ko samundar meñ jazīra likkheñ
ham ko is ahd-e-kashākash ko raqam karnā hai
kis ko fursat ki bhalā aap kā qissa likkheñ
kyā diyā tum ne zamāne ko bas ik shab ke sivā
ham ne sochā hai ki us shab kā saverā likkheñ
tum ne ik moḌ pe lā ke jise chhoḌā thā kabhī
aao ab baiTh ke qissa vo adhūrā likkheñ
dil se majbūr haiñ 'jāved' magar haif kahāñ
kyā ye mumkin hai kabhī aap ko apnā likkheñ
hum se mumkin na hua dasht ko dariya likkhen
KHar ko phul kahen dhup ko saya likkhen
un ka israr andhere ko ujala likkho
zid hamari ki andhera hai andhera likkhen
aao is peD ke sae mein zara susta len
aur phir chahe ghazal chahe qasida likkhen
kuchh pata un ko chale hum pe guzarti kya hai
apne ek aadh sahi gham ka KHulasa likkhen
us ke har harf se KHushbu si tumhaari mahke
ya rubai ya koi sher ghazal ka likkhen
kya karen phul se kaghaz pe bikhar jate hain
jab bhi chaha hai kabhi un ka sarapa likkhen
chandni raat mein baiThen lab-e-dariya pe kahin
aur har mauj pe bas nam tumhaara likkhen
us ki hasti ki hai aabaad mahakta sa jahan
aur hum KHud ko samundar mein jazira likkhen
hum ko is ahd-e-kashakash ko raqam karna hai
kis ko fursat ki bhala aap ka qissa likkhen
kya diya tum ne zamane ko bas ek shab ke siwa
hum ne socha hai ki us shab ka sawera likkhen
tum ne ek moD pe la ke jise chhoDa tha kabhi
aao ab baiTh ke qissa wo adhura likkhen
dil se majbur hain 'jawed' magar haif kahan
kya ye mumkin hai kabhi aap ko apna likkhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.