humse na puchh jaegi hijr ki rahguzar kahan
ham se na pūchh jā.egī hijr kī rahguzar kahāñ
shaam huī to thī kahīñ sub.h huī magar kahāñ
dāna-o-dām se pare merī uḌaan yaad kar
mujh ko talāsh kar na dekh rakhe haiñ bāl-o-par kahāñ
ishq-e-hisār-e-zāt se duur bahut nikal gayā
aise meñ jabr-e-vaqt bhī hotā hai kārgar kahāñ
valvala-hā-e-shauq sab sarf-e-muhājrat hue
ab sar-e-manzil vafā DhūñD rahe ho ghar kahāñ
chhoḌ ke kārvān-e-shauq manzil-e-ġham pe kar qayām
misl-e-ġhubār-e-kārvāñ phirtā hai dar-ba-dar kahāñ
hum se na puchh jaegi hijr ki rahguzar kahan
sham hui to thi kahin subh hui magar kahan
dana-o-dam se pare meri uDan yaad kar
mujh ko talash kar na dekh rakhe hain baal-o-par kahan
ishq-e-hisar-e-zat se dur bahut nikal gaya
aise mein jabr-e-waqt bhi hota hai kargar kahan
walwala-ha-e-shauq sab sarf-e-muhajrat hue
ab sar-e-manzil wafa DhunD rahe ho ghar kahan
chhoD ke karwan-e-shauq manzil-e-gham pe kar qayam
misl-e-ghubar-e-karwan phirta hai dar-ba-dar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.