humse na puchhiye ki kidhar dekhte rahe
humse na puchhiye ki kidhar dekhte rahe
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
ham se na pūchhiye ki kidhar dekhte rahe
thī dekhne kī chiiz jidhar dekhte rahe
ahl-e-havas ko diid mayassar nahīñ huī
jalve ko un ke ahl-e-nazar dekhte rahe
dekhā to kaam kā koī din thā na raat thī
ham zindagī ke shām-o-sahar dekhte rahe
aatī rahī hamīñ pe musībat tamām umr
ham apnī aah kā ye asar dekhte rahe
din-rāt ek jalva-e-dīdār thā nasīb
ham raushnī-e-shams-o-qamar dekhte rahe
jalva ba-vaqt-e-dīd rahā jāzib-e-nazar
ham hosh meñ nahīñ the magar dekhte rahe
nāloñ se aag sī thī shab-e-ġham lagī huī
ham apne ghar meñ raqs-e-sharar dekhte rahe
ahl-e-nazar kahāñ thī hamārī nazar kahāñ
ham bazm meñ kahāñ the kidhar dekhte rahe
luTtī rahī jahān meñ 'ḳhushtar' kī zindagī
ham the ki us ko shām-o-sahar dekhte rahe
hum se na puchhiye ki kidhar dekhte rahe
thi dekhne ki chiz jidhar dekhte rahe
ahl-e-hawas ko did mayassar nahin hui
jalwe ko un ke ahl-e-nazar dekhte rahe
dekha to kaam ka koi din tha na raat thi
hum zindagi ke sham-o-sahar dekhte rahe
aati rahi hamin pe musibat tamam umr
hum apni aah ka ye asar dekhte rahe
din-raat ek jalwa-e-didar tha nasib
hum raushni-e-shams-o-qamar dekhte rahe
jalwa ba-waqt-e-did raha jazib-e-nazar
hum hosh mein nahin the magar dekhte rahe
nalon se aag si thi shab-e-gham lagi hui
hum apne ghar mein raqs-e-sharar dekhte rahe
ahl-e-nazar kahan thi hamari nazar kahan
hum bazm mein kahan the kidhar dekhte rahe
luTti rahi jahan mein 'KHushtar' ki zindagi
hum the ki us ko sham-o-sahar dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.