humse shayad hi kabhi uski shanasai ho
ham se shāyad hī kabhī us kī shanāsā.ī ho
dil ye chāhe hai ki shohrat ho na rusvā.ī ho
vo thakan hai ki badan ret kī dīvār sā hai
dushman-e-jāñ hai vo pachhuā ho ki purvā.ī ho
ham vahāñ kyā nigah-e-shauq ko sharminda kareñ
shahr kā shahr jahāñ us kā tamāshā.ī ho
dard kaisā jo Dubo.e na bahā le jaa.e
kyā nadī jis meñ ravānī ho na gahrā.ī ho
kuchh to ho jo tujhe mumtāz kare auroñ se
jaan lene kā hunar ho ki masīhā.ī ho
tum samajhte ho jise sañg-e-malāmat 'irfān'
kyā ḳhabar vo bhī koī rasm-e-pazīrā.ī ho
hum se shayad hi kabhi us ki shanasai ho
dil ye chahe hai ki shohrat ho na ruswai ho
wo thakan hai ki badan ret ki diwar sa hai
dushman-e-jaan hai wo pachhua ho ki purwai ho
hum wahan kya nigah-e-shauq ko sharminda karen
shahr ka shahr jahan us ka tamashai ho
dard kaisa jo Duboe na baha le jae
kya nadi jis mein rawani ho na gahrai ho
kuchh to ho jo tujhe mumtaz kare auron se
jaan lene ka hunar ho ki masihai ho
tum samajhte ho jise sang-e-malamat 'irfan'
kya KHabar wo bhi koi rasm-e-pazirai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.