humse thin raunaqen bazm-araiyan
ham se thiiñ raunaqeñ bazm-ārā.īyāñ
ab sajāte raho apnī tanhā.iyāñ
koī ḳhushbū nahīñ koī naġhma nahīñ
roz chalne ko chaltī haiñ purvā.iyāñ
merī jaañ maiñ tujhe kis tarah jāntā
is qadar vus.ateñ itnī gahrā.iyāñ
dekh liije kahīñ aap hī to nahīñ
merī āñkhoñ meñ haiñ chand parchhā.iyāñ
kaisā afsos mātam ho kis baat kā
phir vahī pastiyāñ aur paspā.iyāñ
haisiyat kyā hai tahzīb-o-aqdār kī
kore kāġhaz pe haiñ ḳhāma-farsā.iyāñ
hum se thin raunaqen bazm-araiyan
ab sajate raho apni tanhaiyan
koi KHushbu nahin koi naghma nahin
roz chalne ko chalti hain purwaiyan
meri jaan main tujhe kis tarah jaanta
is qadar wusaten itni gahraiyan
dekh lije kahin aap hi to nahin
meri aankhon mein hain chand parchhaiyan
kaisa afsos matam ho kis baat ka
phir wahi pastiyan aur paspaiyan
haisiyat kya hai tahzib-o-aqdar ki
kore kaghaz pe hain KHama-farsaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.