humse to rah-o-rasm hai aghyar ki tarah
ham se to rāh-o-rasm hai aġhyār kī tarah
duniyā pe mehrbān haiñ ġham-ḳhvār kī tarah
kam-mā.egī na pūchh mirī bazm-e-ġhair meñ
uThtī hai har nigāh ḳharīdār kī tarah
maiñ tājirān-e-ishq ke baare meñ kyā kahūñ
in kā junūñ hai garmī-e-bāzār kī tarah
ḳhud-sāḳhta butoñ ko maiñ ab toḌ-tāḌ kar
pūjūñgā bas usī ko parastār kī tarah
zauq-e-nazar ko aap samajhte haiñ gar gunāh
nādim khaḌā huuñ maiñ bhī gunahgār kī tarah
dekhī hai maiñ ne shāḳh se pattoñ kī ruḳhsatī
jaane na dūñgā ab tujhe har baar kī tarah
zād-e-safar kī fikr na manzil kā ho ḳhayāl
rāh-e-talab meñ aao talabgār kī tarah
chāhā hai tum ko yuuñ ki tumheñ bhī ḳhabar na ho
sochā hai tum ko an-kahe ash.ār kī tarah
kahne ko koī band-o-salāsil nahīñ magar
sab haiñ fasīl-e-jāñ meñ giraftār kī tarah
'ādil' ruḳh-e-nigār nahīñ dil kā aa.ina
iqrār-e-ḳhās hotā hai inkār kī tarah
hum se to rah-o-rasm hai aghyar ki tarah
duniya pe mehrban hain gham-KHwar ki tarah
kam-maegi na puchh meri bazm-e-ghair mein
uThti hai har nigah KHaridar ki tarah
main tajiran-e-ishq ke bare mein kya kahun
in ka junun hai garmi-e-bazar ki tarah
KHud-saKHta buton ko main ab toD-taD kar
pujunga bas usi ko parastar ki tarah
zauq-e-nazar ko aap samajhte hain gar gunah
nadim khaDa hun main bhi gunahgar ki tarah
dekhi hai main ne shaKH se patton ki ruKHsati
jaane na dunga ab tujhe har bar ki tarah
zad-e-safar ki fikr na manzil ka ho KHayal
rah-e-talab mein aao talabgar ki tarah
chaha hai tum ko yun ki tumhein bhi KHabar na ho
socha hai tum ko an-kahe ashaar ki tarah
kahne ko koi band-o-salasil nahin magar
sab hain fasil-e-jaan mein giraftar ki tarah
'adil' ruKH-e-nigar nahin dil ka aaina
iqrar-e-KHas hota hai inkar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.