humse wafa karen ki wo hum par jafa karen
ham se vafā kareñ ki vo ham par jafā kareñ
paa.eñ ḳhudā se ham jo butoñ se daġhā kareñ
sayyād uḌā diyā mujhe sar se utaar kar
sadqe tire humā tire sar par uḌā kareñ
vo din ḳhudā dikhā.e ki ham bhī unheñ satā.eñ
ye nāznīñ hasīn hamārā gilā kareñ
āñkhoñ meñ ashk aa.e to hañsne kā lutf kyā
itnā na gudgudāo ki ham ro diyā kareñ
samjhā de jā ke tū hī unheñ ai nigāh-e-yās
ab kosne kā vaqt nahīñ hai duā kareñ
rakh leñ ham aap laao dil-e-be-qarār meñ
aisā na ho ki tiir tumhāre ḳhatā kareñ
ham laakh pārsāoñ ke ik pārsā sahī
mauqe se tum ko paa.eñ to batlāo kyā kareñ
pazhmurda phuul ban ke rahe nā-murād dil
khil kar tumhāre haar kī kaliyāñ hañsā kareñ
vo din kahāñ 'riyāz' vo rāteñ kahāñ 'riyāz'
baiThe hue kisī kī balā.eñ liyā kareñ
hum se wafa karen ki wo hum par jafa karen
paen KHuda se hum jo buton se dagha karen
sayyaad uDa diya mujhe sar se utar kar
sadqe tere huma tere sar par uDa karen
wo din KHuda dikhae ki hum bhi unhen sataen
ye naznin hasin hamara gila karen
aankhon mein ashk aae to hansne ka lutf kya
itna na gudgudao ki hum ro diya karen
samjha de ja ke tu hi unhen ai nigah-e-yas
ab kosne ka waqt nahin hai dua karen
rakh len hum aap lao dil-e-be-qarar mein
aisa na ho ki tir tumhaare KHata karen
hum lakh parsaon ke ek parsa sahi
mauqe se tum ko paen to batlao kya karen
pazhmurda phul ban ke rahe na-murad dil
khil kar tumhaare haar ki kaliyan hansa karen
wo din kahan 'riyaz' wo raaten kahan 'riyaz'
baiThe hue kisi ki balaen liya karen
- Riyaz Rizwan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.