humse wo be-ruKHi se milta hai
ham se vo be-ruḳhī se miltā hai
jī ko paiġhām jī se miltā hai
ham ko bāvar na thā adāvat kā
silsila āshiqī se miltā hai
rishta-e-irtiqā-e-insānī
zehn kī tishnagī se miltā hai
dast-e-taḳh.īl ko koī dāman
baḳht kī yāvarī se miltā hai
dostī aur dushmanī kā mazā
dost kī dushmanī se miltā hai
zauq baḌhtā hai āshnā.ī kā
jab vo begānagī se miltā hai
ruḳh ko taz.īn kā nayā pahlū
aap kī be-ruḳhī se miltā hai
hai vo miltā hī kis liye 'hāmid'
ham se jo be-dilī se miltā hai
hum se wo be-ruKHi se milta hai
ji ko paigham ji se milta hai
hum ko bawar na tha adawat ka
silsila aashiqi se milta hai
rishta-e-irtiqa-e-insani
zehn ki tishnagi se milta hai
dast-e-taKHil ko koi daman
baKHt ki yawari se milta hai
dosti aur dushmani ka maza
dost ki dushmani se milta hai
zauq baDhta hai aashnai ka
jab wo beganagi se milta hai
ruKH ko tazin ka naya pahlu
aap ki be-ruKHi se milta hai
hai wo milta hi kis liye 'hamid'
hum se jo be-dili se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.