humse ye kah ke wo haal-e-shab-e-gham puchhte hain
ham se ye kah ke vo hāl-e-shab-e-ġham pūchhte haiñ
kyā batāoge na tum ab bhī ki ham pūchhte haiñ
yuuñ koī de ke zabāñ apnī mukar jaatā hai
aap se kahte haiñ ye aap se ham pūchhte haiñ
bhūle-bhaTke jo udhar koī nikal jaatā hai
ḳhair but-ḳhāne kī sab ahl-e-haram pūchhte haiñ
maiñ ne aisā koī hamdard na dekhā na sunā
sub.h ko mujh se vo hāl-e-shab-e-ġham pūchhte haiñ
jo na jhelī thī kabhī us ne vo aafat jhelī
aap kyā 'nūh' se afsāna-e-ġham pūchhte haiñ
hum se ye kah ke wo haal-e-shab-e-gham puchhte hain
kya bataoge na tum ab bhi ki hum puchhte hain
yun koi de ke zaban apni mukar jata hai
aap se kahte hain ye aap se hum puchhte hain
bhule-bhaTke jo udhar koi nikal jata hai
KHair but-KHane ki sab ahl-e-haram puchhte hain
main ne aisa koi hamdard na dekha na suna
subh ko mujh se wo haal-e-shab-e-gham puchhte hain
jo na jheli thi kabhi us ne wo aafat jheli
aap kya 'nuh' se afsana-e-gham puchhte hain
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 144)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.