humse ye qatl ke manzar nahin dekhe jate
ham se ye qatl ke manzar nahīñ dekhe jaate
shāh-rāhoñ pe kaTe sar nahīñ dekhe jaate
jab kafan bāñdh ke nikle ho shahādat ke liye
phir palaT kar to kabhī ghar nahīñ dekhe jaate
fikr kā kaash darīcha hī koī khul jaa.e
zehn insānoñ ke banjar nahīñ dekhe jaate
ham ne hañste hue phūloñ meñ guzārī hai hayāt
ham se barbādī ke manzar nahīñ dekhe jaate
dekh lene se bhī hotī hai tasallī dil ko
aa.ine haath se chhū kar nahīñ dekhe jaate
ġham kī rāhoñ se bhī hañste hue guzro 'vāqif'
raah meñ ḳhaar yā patthar nahīñ dekhe jaate
hum se ye qatl ke manzar nahin dekhe jate
shah-rahon pe kaTe sar nahin dekhe jate
jab kafan bandh ke nikle ho shahadat ke liye
phir palaT kar to kabhi ghar nahin dekhe jate
fikr ka kash daricha hi koi khul jae
zehn insanon ke banjar nahin dekhe jate
hum ne hanste hue phulon mein guzari hai hayat
hum se barbaadi ke manzar nahin dekhe jate
dekh lene se bhi hoti hai tasalli dil ko
aaine hath se chhu kar nahin dekhe jate
gham ki rahon se bhi hanste hue guzro 'waqif'
rah mein KHar ya patthar nahin dekhe jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.