humse yun be-ruKHi se milte hain
ham se yuuñ be-ruḳhī se milte haiñ
jis tarah har kisī se milte haiñ
lab tire pankhuḌī se milte haiñ
bol ik rāgnī se milte haiñ
ye shahr pattharoñ kā jangal hai
āshnā ajnabī se milte haiñ
jin kā maqsad fareb hotā hai
vo baḌī sādgī se milte haiñ
maut aa.egī us se mil leñge
ab chalo zindagī se milte haiñ
jab se baiThe haiñ dil lagā ke 'chaman'
aaj kal kam kisī se milte haiñ
hum se yun be-ruKHi se milte hain
jis tarah har kisi se milte hain
lab tere pankhuDi se milte hain
bol ek ragni se milte hain
ye shahr pattharon ka jangal hai
aashna ajnabi se milte hain
jin ka maqsad fareb hota hai
wo baDi sadgi se milte hain
maut aaegi us se mil lenge
ab chalo zindagi se milte hain
jab se baiThe hain dil laga ke 'chaman'
aaj kal kam kisi se milte hain
- Book : Shora-e-London (Pg. 70)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.