hum shad rahe nashad rahe
ham shaad rahe nāshād rahe
bas aap hamesha yaad rahe
sayyād nasheman laakh ujḌeñ
piñjrā to tirā ābād rahe
vo taḳht pe bhī majbūr se haiñ
zindāñ meñ bhī ham āzād rahe
tan qaid meñ ho to kyā parvā
ai qaidī man āzād rahe
ye āzādī kyā āzādī
jab ghaat meñ ik sayyād rahe
yuuñ mahz karam bhī Thiik nahīñ
kuchh thoḌī sī bedād rahe
qānūn-e-qazā se kaun bachā
namrūd rahe shaddād rahe
ham riñd-e-pareshāñ-hāl sahī
bas mai-ḳhāna ābād rahe
hum shad rahe nashad rahe
bas aap hamesha yaad rahe
sayyaad nasheman lakh ujDen
pinjra to tera aabaad rahe
wo taKHt pe bhi majbur se hain
zindan mein bhi hum aazad rahe
tan qaid mein ho to kya parwa
ai qaidi man aazad rahe
ye aazadi kya aazadi
jab ghat mein ek sayyaad rahe
yun mahz karam bhi Thik nahin
kuchh thoDi si bedad rahe
qanun-e-qaza se kaun bacha
namrud rahe shaddad rahe
hum rind-e-pareshan-haal sahi
bas mai-KHana aabaad rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.