hum shayad kuchh DhunD rahe the yaad aaya to rote hain
ham shāyad kuchh DhūñD rahe the yaad aayā to rote haiñ
taaza taaza us ko kho kar jaane kyā kyā khote haiñ
ek taraf ye duniyā-dārī ek taraf vo ḳhalvat-e-ġham
duniyā vaalo har mahfil meñ dekho ham bhī hote haiñ
pahlī kiran kā dhaḌkā kyā kyā dil ko masaktā jaa.e hai
bhor bha.e jab kunj meñ ġhunche muñh shabnam se dhote haiñ
tujh ko tire gul phuul mubārak yaañ zid Thahrī jiine se
ham to apnī raah meñ pyāre chun chun kāñTe bote haiñ
tere dukh-sukh tū hī jaane ham ne bas itnā jaanā hai
tujh se pahle jaag uThte haiñ tere ba.ad hī sote haiñ
sej ko suunā kar ga.e ḳhūbāñ shikan shikan fariyād kare
pahlū pahlū chauñk uThe ham karvaT karvaT rote haiñ
us ne baaġh se jaate jaate mausam-e-gul bhī bāñdh liyā
'shāz' ko dekho dīvāne haiñ baiThe haar pirote haiñ
hum shayad kuchh DhunD rahe the yaad aaya to rote hain
taza taza us ko kho kar jaane kya kya khote hain
ek taraf ye duniya-dari ek taraf wo KHalwat-e-gham
duniya walo har mahfil mein dekho hum bhi hote hain
pahli kiran ka dhaDka kya kya dil ko masakta jae hai
bhor bhae jab kunj mein ghunche munh shabnam se dhote hain
tujh ko tere gul phul mubarak yan zid Thahri jine se
hum to apni rah mein pyare chun chun kanTe bote hain
tere dukh-sukh tu hi jaane hum ne bas itna jaana hai
tujh se pahle jag uThte hain tere baad hi sote hain
sej ko suna kar gae KHuban shikan shikan fariyaad kare
pahlu pahlu chaunk uThe hum karwaT karwaT rote hain
us ne bagh se jate jate mausam-e-gul bhi bandh liya
'shaz' ko dekho diwane hain baiThe haar pirote hain
- Book : Kulliyat-e-Shaz Tamkanat (Pg. 285)
- Author : Shaz Tamkanat
- Publication : Educational Publishing House (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.