Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum shahr-e-mohabbat ko basane mein lage hain

Nafas Ambalvi

hum shahr-e-mohabbat ko basane mein lage hain

Nafas Ambalvi

MORE BYNafas Ambalvi

    ham shahr-e-mohabbat ko basāne meñ lage haiñ

    kuchh log magar aag lagāne meñ lage haiñ

    tārīḳh to tārīḳh hai hargiz na miTegī

    nādāñ haiñ jo tārīḳh miTāne meñ lage haiñ

    afsos ki is jang meñ ab zill-e-ilāhī

    ḳhud apne lashkar ko harāne meñ lage haiñ

    vo hai ki kahānī badalne pe tulā hai

    aur ham haiñ ki kirdār nibhāne meñ lage haiñ

    kuchh dard to zulmat ne diye haiñ hameñ lekin

    kuchh zaḳhm charāġhoñ ko jalāne meñ lage haiñ

    lauTe haiñ to ab saath faqat gard-e-safar hai

    ab ke kahīñ hosh Thikāne meñ lage haiñ

    jo baat 'nafas' saare zamāne pe 'ayāñ thī

    ham haiñ ki vahī baat batāne meñ lage haiñ

    hum shahr-e-mohabbat ko basane mein lage hain

    kuchh log magar aag lagane mein lage hain

    tariKH to tariKH hai hargiz na miTegi

    nadan hain jo tariKH miTane mein lage hain

    afsos ki is jang mein ab zill-e-ilahi

    KHud apne hi lashkar ko harane mein lage hain

    wo hai ki kahani hi badalne pe tula hai

    aur hum hain ki kirdar nibhane mein lage hain

    kuchh dard to zulmat ne diye hain hamein lekin

    kuchh zaKHm charaghon ko jalane mein lage hain

    lauTe hain to ab sath faqat gard-e-safar hai

    ab ja ke kahin hosh Thikane mein lage hain

    jo baat 'nafas' sare zamane pe 'ayan thi

    hum hain ki wahi baat batane mein lage hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now